Friday, July 10, 2020

Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia


Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia

।।अजनबी से जान तक का सफ़र।।

अजनबी लगते हो, मेरे
अब अंजान लगने लगे हो, मेरे
थोड़ा जानने लगी हूं , तुम्हे की
जान लगने लगे हो तुम, मेरे   
    ~सलोनी 🥀
Follow Publisher





Want to Publish Your Poem, Shayari, Quotes, Or Captions. Click Here

Wednesday, July 8, 2020

Hindi Shayari Collection 2 - ROYAL SHAYARI MAFIA

Hindi Shayari Collection 2 - ROYAL SHAYARI MAFIA

Zindagi beich kar khareed lete


Hindi Shayari
Khareed sakte tou usey zindagi beich karke khareed lete
Par kuch log keemat se nahin kismat se mila karte hain…


Jo kismat mein ho


Hindi Shayari
Jo kismat mein ho woh zaroor milta hai husnain
Phir kyon log hathon ki lakeeron se gila karte hain..


Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise


Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise


Gam nahi Waha…

Gam nahi Waha jaha Ho Fasana apka
khusi bhi dhundti He Har paL Ashiyana Apka
Ap udas Na Hona kabhi jindgi me
Bahut acha Lagta He Hame dostana Apka.


Phool aisa ho jo…

Phool aisa ho jo baag ko khushbu se bhar de,
Hamsafar aisa ho jo andheron ko roshan kar de,
Dost aisa ho zindagi ko khushi aur mobile ko SMS se bhar de…



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

MERI JAAN Hindi Shayari - ROYAL SHAYARI MAFIA

MERI JAAN Hindi Shayari - ROYAL SHAYARI MAFIA

MERI JAAN


Taarif-E-Maashooq
Khil Ti Kali Ki Tarah Hai Muskaan Uski
Udti Titli Ki Tarah Hai Chaal Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Behti Jheel Ki Tarah Aankhein Uski
Jhool Ti Shaqaon Ki Tarah Hai Baahein Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Ajab Si Sheereeni Hai Baatoan Me Uski
Ghazab Si Mehek Hai Saansoan Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Machal Utha Hai Dil Jab Se Dekhi Hai Tasveer Uski
Mehek Utha Hai Gulshan Khushboo Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khil Uthi Hai Tabassum Ruksaroan Pe Uski
Mil Gayi Hai Taqdeer Gulzaroan Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Jal Uthi Hai Shama Roshni Se Uski
Khatm Hui Hai Tanhaai Mehfil Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Dil Me Basata Main Tasveer Uski
Ban Gaya Hun Khud Taqdeer Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Milti Nahi Fursath Yaadon Se Uski
Rehta Hoon Masroof Baaton Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khud Ko Khone Laga Hoon Baatoan Me Uski
Lut Ne Laga Hoon Chahon Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khatm Hua Dard-E-Dil Dekh Ke Soorat Uski
Sang-E-Marmar Ki Tarah Hai Moorat Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Hindi Shayari Collection 1 - ROYAL SHAYARI MAFIA

Hindi Shayari Collection 1 - ROYAL SHAYARI MAFIA

TAUFIIQ-E-NAZAR SHARAB


Sakii Dum Se Tere Chalte Rahe Maikhane,
Mere Pine Se Toote Rahe Paimane-Paimane,
Tere Naaam Se Chalti Dil-E-Dhadkane Meri,
Taufiiq-E-Nazar Sharab Mein Surat Hai Teri…

KHUDA NE FAREBI


दरिये ने भी क्या ख्वाइश की है,
आँखों को शर्म आये कुछ ऐसी बात की है |
होठों पर मुस्कान दिल बहला देती लेकिन,
कातिल है ‘मसरूर’ उसकी नज़र ने मोहब्बत की बात की है |
सच तो कह ज़रा आइना रोज़ बदलता है,
टूटे हुए शीशे ने आज ज़िन्दगी की बात की है |
बेवफाई का ज़माना किसे अपना ना समज,
मस्जिद में आज खुदा ने फरेबी की बात की है |

Arman Koi Seene Mein


Hindi Shayari
Arman Koi Seene Mein Aag Laga Deta Hai,
Khwab Koi Aker Raton Ki Neend Uda Deta Hai,
Punchhta Hoon Jisse Bhi Manzil Ka Pata Ab To,
Vo Rasta Tere Gher Ka Hi Bata Deta Hai.

Hum Tere Mureed Ho Gaye


Hindi Shayari
Teri Aik Muskarahat Pe, Hum Tere Mureed Ho Gaye.
Kal Tak To Muflis Thhe, Lakin Aaj Hum Ameer Ho Gaye.



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here