Friday, July 10, 2020

Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia


Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia

।।अजनबी से जान तक का सफ़र।।

अजनबी लगते हो, मेरे
अब अंजान लगने लगे हो, मेरे
थोड़ा जानने लगी हूं , तुम्हे की
जान लगने लगे हो तुम, मेरे   
    ~सलोनी 🥀
Follow Publisher





Want to Publish Your Poem, Shayari, Quotes, Or Captions. Click Here

Thursday, July 9, 2020

Romantic Shayari Collection 6 - Royal Shayari Mafia

Romantic Shayari Collection 6 - Royal Shayari Mafia

Romantic SMS Shayari



Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai…..
 Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai…. 
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye……
 Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai…..



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Romantic Shayari Collection 5 - Royal Shayari Mafia

Romantic Shayari Collection 5  - Royal Shayari Mafia

GHAZAL KI PALKEIN



Abhi Is Taraf Na Nigah Kar 
Main Ghazal Ki Palkein Sanvaar Loon 
Mera Lafz-Lafz Ho Aina Tujhe
 Aaine Mein Utar Loon

ZINDAGI SIRF JAZBAAT



In Aankho Se Din Raat Barsaat Hogi
 Agar Zindagi Sirf Jazbaat Hogi 
Kahan Aansuon Ki Ye Saugaat Hogi
 Naye Log Honge Nayi Baat Hogi 
Main Har Haal Mein Muskrata Rahunga 
Tumhari Mohabbat Agar Sath Hogi 
Chiragon Ko Aankho Mein Mehfooz Rakhna 
Badi Dur Tak Raat Hi Raat Hogi 
Na Tum Hosh Mein Ho, 
Na Hum Hosh Mein Hain
 Chalo Maikade Mein Vahi Baat Hogi 

PYAR HUMSE KARNA



Kabhi Ikrar Karna Ho To Humse Karna 
Kabhi Izhar Karna Ho To Humse Karna 
Mar Na Jaun Kahin Tumhe Na Paakar 
Isiliye Kabhi Pyar Karna Ho To Humse Karna 




Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Romantic Shayari Collection 4 - Royal Shayari Mafia

Romantic Shayari Collection 4 - Royal Shayari Mafia

DHADKANO MEIN BASA LOON


Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein, Ke Meri Aankh Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De, Magar Uske Baad Sehr* Na Ho

Voh Bada Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Ye Sift** Bhi Ata*** Kare
Tujhe Bhulne Ki Dua Karu To Meri Dua Mein Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke, Kabhi Shab Ke Phool Choom Ke
Yun Hi Sath-Sath Chalein Sada, Kabhi Khatm Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aa Zara Aur Dil Se Kareeb Aa
Tujhe Dhadkano Mein Basa Loon Main Ki Bichdane Ka Koi Dar Na Ho

*Sehr = Morning, Subah
** Sift = Goodness, Gunn
***Ata = Give, Dena


WAFA KI CHAHAT


Humare Vaaste Ye Char Din Ki Shohrat Kya Voh Mil Gaya
To Kisi Aur Ki Jaroorat Kya Kabhi-Kabhi To Mohabbat Ka Ehtram* Karo
Vo Bewafa Hai To Fir Wafa Ki Chahat Kya Khudaya Meri Sadi Mein Bhi Koi
Chamatkar Kar De Voh Puchte Hain Ki Is Daur Mein Mohabbat Kya Main Apni Khak Uthakar Kahan-Kahan Ghumoon Tere Bagair Meri Zindagi Ki Keemat Kya

KHUSHBU KI TARAH

  
Khushbu Ki Tarah Aaya Vo Tez Hawaon Mein Manga Tha
Jise Humne Din-Raat Duaon Mein Tum Chhat Pe Nahi Aaye 
Main Bhi Ghar Se Nahi Nikla Ye Chand Bahut Bhatka Sawan Ki
Ghataon Mein Ek Shaher Mein Ek Ladki Bilkul Hai Ghazal Jaisi Bijli Si
Ghataon Mein Khushbu Si Hawaon Mein Mausam Ka Ishara Hai
Khush Rehne Do Dilon Ko Masoom Mohabbat Hai Phoolon Ki Khataon
Mein Hum Chand Sitaron Ki Rahon Ke Musafir Hain Har Raat Chamakte Hain Andheri Khalaon*


Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Romantic Shayari Collection 3 - Royal Shayari Mafia

Romantic Shayari Collection 3 - Royal Shayari Mafia

DIL KARTA HAI


Unse Roz Milne Ko Dil Karta Hai
Kuch Sun-ne Sunaane Ko Dil Karta Hai
Kisi Ke Manaane Ka Andaaz Aisa Hai
Roz Rooth Jaane Ko Dil Karta Hai

Chehre Pe Fida To Har Koi Hota Hai
Dil Pe Fida Hoke To Dekhiye
Jaan Lutane Ki Baat To Sab Karte Hain
Dil Se Kabhi Apna Maan Ke To Dekhiye

KISI KI MOHABBAT KA AITBAR


Vo Chandni Ka Badan, Khushbuon Ka Saya Hai
Bahut Azeez Hume Hain, Magar Praya Hai

Utar Aao Kabhi Aasman Ke Zeeno Se
Tumhe Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai

Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi
Use Zamane Ne Shayad Bahut Staya Hai

Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se
Khuda Kisi Ki Mohabbat Pe Muskuraya Hai

Kahan Se Aayi Ye Khushboo, Ye Ghar Ki Khushboo Hai
Is Ajnabi Ke Andhere Mein Kaun Aaya Hai

Tamaam Umar Mera Dum Isi Dhuyein Mein Ghuta
Vo Ik Cheerag Tha Maine Use Bujhaya Hai

AANKH SE TAPKA VOH PANI


Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai
Ishq Mein Char Pal Ki Zindgani Kafi Hai
Doobne Ko Samander Mein Jayein Kahan
Aapki Aankh Se Tapka Voh Pani Kafi Hai



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Romantic Shayari Collection 2 - ROYAL SHAYARI MAFIA

Romantic Shayari  Collection 2 - ROYAL SHAYARI MAFIA

SABSE KHOOBSURAT


Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Haqumat Hai
Tamaam Mulk Mein Vo Sabse Khoobsurat Hai


Bahut Dino Se Mere Saath Thi Magar Kal Sham
Mujhe Pata Chala Vo Kitni Khoobsurat Hai


TU CHAND MAIN SITARA


Tu Chand Aur Main Sitara Hota
Aasmaan Mein Ek Aashiana Humara Hota
Log Tumhe Door Se Dekhte
Nazdeeq Se Dekhne Ka Haq Bas Humara Hota


JAAN ROMANTIC SHAYARI


Thoda Socha Hai Humne
Thoda Jana Hai Humne
Mushkil Se Magar Pehchana Hai Humne
Koi Aap Jaisa Na Hoga
Isliye Apni Jaan Apko Mana Hai Humne


Seene Ki Tadap Dikhaya Nahi Karte
Nadaan Dil Ko Samjhaya Nahi Karte
Lakhon Gile Ho Chahe Apno Se Lekin
Sanso Mein Basne Walon Ko Bhulaya Nahi Karte


Baadlon Se Salaam Leta Hoon
Waqt Ka Haath Thaam Deta Hoon
Maut Bhi Ruk Jati Hai Pal Bhar Ke Liye
Jab Main Tera Naam Leta Hoon



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Wednesday, July 8, 2020

Romantic Shayari Collection 1 - Royal Shayari Mafia

Romantic Shayari Collection 1 - Royal Shayari Mafia

APKO YAAD KARTE HAIN


Har Pal Haske Jiya Karte Hain

Tumse Dil Ki Har Baat Kiya Karte Hain

Tum Khas Ho Humare Liye

Isliye Har Waqt Apko Yaad Kiya Karte Hain

Humare Beech Ki Nazdikiyan Kabhi Kam Na Ho

Khuda Kare Tumhe Kabhi Koi Gam Na Ho

Jis Din Tute Ye Rista Apna

Khuda Kare Us Din Is Jahan Me Hum Na Ho

Chah Kar Bhi Juda Na Reh Sakoge

Rooth Kar Kabhi Khafa Na Reh Sakoge

Hum Saath Hi Kuch Aise Nibhayenge

Ke Aap Hume Kabhi Alvida Na Keh Payenge


KISI SE MOHABBAT NAHI TERE SIWA


Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Tere Siwa

Kisi Ki Zaroorat Bhi Nahi Tere Siwa

Meri Nazar Ko Thi Talash Jiski

Kisi Ke Paas Vo Surat Nahi Tere Siwa

Aapse Rishta Bhi Mera Koi Hota

Shayad Uska Naam Dosti Hota

Chipk Kar Rehta Seene Se Humesha

Kash Main Aapki Mala Ka Koi Moti Hota

Teri Aakhon Me Aas Ho To Meri Ho

Tere Hothon Pe Pyass Ho To Meri Ho

Jab Tu Bole To Lab Tere Hile

Magar Unme Awaz Meri Ho


DOST ZINDAGI YAA SAYA


Kareeb Se Tujhe Jana To Apna Paya

Tujhe Dosti Mein Aajmaya To Apna Paya

Tujhe Kya Naam Doon Ye Samajh Nahi Aata

Dost, Zindagi Yaa Apna Saya

Baat Aisi Ho Ke Jazbaat Kam Na Ho

Khayalaat Aise Ho Ke Kabhi Gham Na Ho

Dil Ke Kone Mein Itni Jagah Rakhna

Ke Khaali Khaali Sa Lage Jab Hum Na Ho



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here