Friday, July 10, 2020

Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia


Romantic Shayari - Royal Shayari Mafia

।।अजनबी से जान तक का सफ़र।।

अजनबी लगते हो, मेरे
अब अंजान लगने लगे हो, मेरे
थोड़ा जानने लगी हूं , तुम्हे की
जान लगने लगे हो तुम, मेरे   
    ~सलोनी 🥀
Follow Publisher





Want to Publish Your Poem, Shayari, Quotes, Or Captions. Click Here

Romantic Poem Collection 4 - Royal Shayari Mafia

Romantic Poem Collection 4 - Royal Shayari Mafia

BEWAFA SE MOHABBAT 

Kyun Daaman Ko Dagdar Karte Ho, 
Kyun Bewafa Se Mohabbat Karte Ho, 
Jo Poojta Hai Tumhein Khuda Ki Tarha, 

Kyun Uski Mohabbat Ko Badnaam Karte Ho…


DIL KA SAUDA 

Pyar Ka Souda Jazbaat Se Hota Hai, 
Dil Ka Souda Ek Mulakaat Se Hota Hai, 
Yun Toh Keemat Hoti Hai Har Soude Ki, 
Haseeno Ka Souda Aaishq Ki Jaan Se Hota Hai, 
Nazrein Milte Hi Nazara Badal Jata Hai, 
Saaz Par Aate Hi Tarana Badal Jata Hai, 
Paigam E Wafa Toh Sabhi Bhejte Hain, 
Aajmaish Ke Waqt Par Jamana Badal Jata Hai, 
Fijaon Mein Bhi Baharon Ka Naam Aata Hai,
 Aaj Har Jubaan Par Mera Naam Aata Hai,
 Jab Bhi Koi Padhta Hai Kalam Mera, 

Har Jubaan Par Sanam Tera Naam Aata Hai…


PYAR MEIN BARBAAD 

Kya Bataun Kissa Pyar Ka Eh Sanam, 
Unki Baahon Mein Saanse Rook Jaati Hain, 
Bas Unki Baahon Mein Hai Zannat Meri, 
Unko Dekhkar Meri Nazarein Jhuk Jaati Hain, 
Pyar Ki Nadani Unse Kar Baithhe Hain, 
Unke Liye Barbaad Jawani Kar Baithhe Hain, 
Unko Basaa Kar Apne Dil Mein Eh Sanam, 

Hum Barbaad Apni Jawani Kar Baithhe Hain…



PYAR KI MULAKAT

 Teri Baahon Mein Meri Zannat, 
Meri Julfon Mein Teri Shaam Hui 
Thi, Pyar Ke Lambe Intezaar Ke Baad, 

Eh Sanam Tumse Meri Mulakaat Hui Thi…




PYAR KA EHSAAS

Har Shaam Khawabon Mein Aate Ho Tum,
 Eh Sanam Ehsaas Pyar Ka Dilaate Ho Tum, 
Kabhi Paas Aate Ho Tum Pyar Ki Chah Mein, 

Kabhi Door Jaate Ho Hamein Satane Ko Tum…



Want to Publish Your Poem, Shayari, Quotes, Or Captions. Click Here

Addurl.nu

Romantic Poem Collection 3 - Royal Shayari Mafia

Romantic Poem Collection 3 - Royal Shayari Mafia

DARD-E-DIL – BROKEN HEART

 Ab Hum Kisi Ki Tamanna Na Karenge, 
Ab Raah Kisi Ki Bhi Na Dekha Karenge
, Mere Dard Se Wakif Na Ho Jaaye Tera Saya,
 Ab Is Andhere Kamre Mein Ujala Na Karenge,
 Kyon Jhanke Khidkiyon Se Kyon Dar Pe Khade Ho,
 Hum, Dard-E-Dil Ko Bayaan Na Karenge,
Tadpaya Rulaya Hai, 
Woh Jab Bhi Mile Hain, 
Ab Paigam Bhi Aaye Toh Jaya Na Karenge,
 Muddat Se Rakkhi Hai Takiye Ke Neeche Mere, 
Teri Us Tasveer Se Dil Bahlaya Na Karenge, 
Aankhe Jali, Rooh Jali, Dil Jala, Zism Jala, 
Diya Umeed Ka Palkon Par Jalaya Na Karenge…


BETAAB DIL

 Chain Yahan Hai,
 Ab Wahan Nahi, 
Dil Kyun Betaab Hai, 
Eh Khuda Pata Nahi, 
Jis Talash Mein Hai Tu Shayad, 
Woh Aapko Kabhi Mila Nahi, 
Shyad Ye Mausam Bana Rahe,
 Yahan Toh Kisi Ko Rahna Nahi,
 Shikwe Duniya Se Hazaaron Hain, 
Eh Sanam Mujhe Aapse Koi Gila Nahi, 
Dil Se Mere Milna Jaroor Eh Husan Walon, 
Kya Aapke Dil Mein Kabhi Koi Raha Nahi…


Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,

Jo Aati Thi Kabi Mere Naam Chitthhiyan,
 Hum Aaj Bhi Padhte Hai Woh Gumnaam Chitthhiyan,
 Sarhadon Ke Paar Gaye, 
Dil Ke Woh Tukde Eh Sanam,
 Bas Reh Gayi Ab Toh Ban Ke Salaam Chitthhyan, 
Dhime-Dhime Kadamon Se Aati Thi Woh,
 Roz Nahi Aayi Magar Be-Imaan Chitthhiyan,
 Mere Sath Rahi Hamesha Khamoshiyan, 
Shirf Likhta Gaya Haal-E-Tamaam Chitthhiyan,
 Jab Bhi Meri Pyaas Baaki Reh Jaati Hai, 
Peeta Hun Ab Main Banaakar Zaam Chitthhiyan,
 Katra-Katra Bikhra Hua Hai Zameen Par, 
Samet Loo Eh Sanam Tera Yeh Pyar Chitthhiyan…



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Thursday, July 9, 2020

Romantic Poem Collection 2 - Royal Shayari Mafia


AAP MERI JAAN


Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai, 
Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai,
 Azeeb Kashmkash Mein Uljha Hua Hun Main, 
Ab Har Saans Meri Aapki Gulam Ho Gayi Hai, 
Jab Se Aayi Hain Aap Meri Zindagi Mein, 
Har Khushi Dil Se Hum-Zubaan Ho Gayi Hai,
 Aapke Hothhon Par Kya Aayi Gazlein Meri,
 Us Din Se Meri Har Shayari Bhi Jawaan Ho Gayi Hai,
 Aap Chha Gaye Hain Meri Zindagi Pe Is Kadar, 
Har Ek Meri Dhadkan Aapki Gulam Ho Gayi Hai, 
Jee Chahta Hai Baahon Mein Samet Loon Aapko, 
Sukun Chhin Gaya Hai,
 Neend Haraam Ho Gayi Hai, 
Dekhkar Khuli Huyi Zulfein Aapki Eh Sanam, 
Ghatayein Sham Ki Pareshaan Ho Gayi Hai, 
Sunkar Jhankaar Aapki Paayal Ki Eh Sanam, 
Mahfil Sangeet Ki Bejubaan Ho Gayi Hai, 
Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai, 

Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai…



ZINDAGI SAMJHA AAPKO

Mana Dil Ne Khuda Aapko, 

Chaha Hamne, Pooja Aapko, 
Apne Aap Se Puchhiye Eh Sanam, 
Khushboo Kahoon Yaa Fizaa Aapko, 
Mandir Mein Jaaun Ab Kisliye, 
Jab Maan Liya Dewata Aapko, 
Manzar Badla Hai Jeene Ka, 
Jab Se Zindagi Samjha Hai Aapko, 
Behti Lahar Salaam Karegi, 

Fursat Se Sahil Mila Aapko…


Tujhe Dekhe Jo Koi Bhi


Tujhe Dekhe Jo Koi Bhi, 

Wahi Jag Ko Bhool Jaaye, 
Tujhe Pyar Karun Main Itna, 
Tu Sabko Bhool Jaaye, Tujhe Dekh Kar Farishte Bhi,
Rab Ko Bhool Jaaye, 
Tujhe Khushiyan Dun Itni Ke Tu Sab Gham Bhool Jaaye, 
Tu Mere Kareeb Aa Kar Sab Tanhaiyaan Bhool Jaaye, 
Tu Dil, Main Dhadkan, 
Dono Ek Dooje Ke Hamraaj Ban Jaaye, 
Eh Sanam Tujhe Main Pyar Karun Itna Ki Tu Sabko Bhool Jaaye,
 Kho Jaayein Hum Dono Pyar Mein Aise Khud Ko Bhool Jaaye…

 - Aarti Dhiman



MASOOM SAADGI




Masoom Saadgi Se Muskurana Tera, 
Simatkar Bahon Mein Bikhar Jana Tera, 
Un Motiyon Se Puchhun Woh Seep Kahan Hai,
 Ki Sehra Mein Keemati Aashiyana Tera,
 Lekar Chala Gaya Woh Haaye Jaan Meri, 
Behad Haseen Tha Bahana Tera, 
Haya Sharm Ki Tasveer Dekhi Maine, 
Hatheliyon Se Chehra Chhupana Tera, 
Bana Le Tu Mujhe Bhi Shaagird Apna, 
Khoob Hai Yeh Andaaz Shayrana Tera, 
Masoom Saadgi Se Muskurana Tera,
 Simatkar Bahon Mein Bikhar Jana Tera…

Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here


Romantic Poem Collection 1 - Royal Shayari Mafia

Romantic Poem Collection 1 - Royal Shayari Mafia

ISHQ MEIN DIL NE 


Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna,
 Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna,
 Main Uthhta Hun Sahare Ke Liye Uske, 
Reh Na Gaya Ho Raah Mein, Kaheen Dard Apna,
 Khaakh Kis-Kis Ki Khuda Jaane Huyi Eh Daman Wale, 
Tune Chalte Huye Daman Na Sambhala Apna, 
Dil Chhune Wale Do Labaz Hi Likhe The Usne, 
Kaam-Kaaz Sab Ulat Pher Ho Gaya Apna, 
Hain Bure Haal, Ki Sab Dekhne Waale Hain, 
Koi Duniya Mein Nahi Haal Puchhne Wala Apna,
 Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna, Sach Hai, 

Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna…

PYAR MEIN BETAAB DIL


Maayus Dil Mein, 
Dil-E-Nakaam Ho Gaya, 
Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya, 
Main Har Tarah Se Doshi Ho Gaya,
 Galati Ki Kisi Aur Ne, Naam Mera Ho Gaya,
 Is Tashanagi Ki Aag, 
Usi Se Bujhi, 
Main Paani Peete-Peete,
 Sharabi Ho Gaya, 
Aashiq Ki Kamzori Ki Kuchh Intehaan Nahi, 
Gaya Wahan Jahan Is Jeewan Ka Islaam Ho Gaya, 
Dil Mera Bataab Hai Uske Pyar Ke Liye, 
Aankhen Pyala Ho Gayi Dil Jaam Ho Gaya,
Rahta Hai Apna Mukaddar Bhi Apne Saath,
 Wahan Bhi Pyar Ke Maaron Mein Shamil Ho Gaya, 
Duniya Mein Har Mash-hoor Aadmi Paise Ka Gulam Hai,
 Lekin Woh Toh Aapka Gulam Ho Gaya
Maayush Dil Mein Dil-E-Nakaam Ho Gaya,
 Rooksat Ho Duniya Se Mujhe Aaraam Ho Gaya…

TU MERI ZINDAGI HAI


Tujhe Chahte Hain Eh Sanam Bas Teri Aarjoo Hai, 
Tu Zindagi Hai Meri, 
Tu Meri Har Khushi Hai, 
Mujhe Duniya Se Garaj Kya Tu Meri Justju Hai,
 Bas Tere Dam Se Hamdam Meri Duniya Hanshi Hai,
 Haathon Mein Tere Sanam Mere Pyar Ki Aabroo Hai, 
Tere Naam Par Kurbaan Meri Jaan-O-Zindagi Hai,
 Tu Saamne Hai Mere Toh Khuda Roo-B-Roo Hai, 
Tu Hi Chahton Ki Manzil, 
Tu Hi Meri Bandagi Hai, Tujhe Chahte Hain Eh Sanam Bas Teri Aarjoo Hai, 
Tu Zindagi Hai Meri, 
Tu Meri Har Khushi Hai…

EK BEWAFA HAI 


Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar, 
Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar,
 Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di,
 Jise Dil Mein Basaya Tha Chandni Banakar,
 Sahme Huye Phool Yeh Meri Mohabbat Ke,
 Berang Ho Chuke Hain Aansuon Mein Nahaakar,
 Alaah Kare Use Bhi Kabhi Neend Naa Aaye,
 Jo Le Gaya Hai Meri Aankhon Ki Neend Churakar, 
Phulon Ki Sez Usko Kabhi Raas Na Aaye, 
Jo Gaya Hai Meri Raahon Mein Kaante Bichhakar,
 Tadpega Tu Bhi Ek Din Meri Tarah Se, 
Eh Sanam Royega Takiye Ko Seene Se Lagakar,
 Maine Toh Aansuon Ko Apna Mukaddar Bana Liya,
 Eh Bewafa Khush Tu Bhi Na Rahega Mujhe Rulakar, 
Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar, 
Ab Pachhta Rahe Hain Apna Dil Ganwakar…

Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

Funny Shayari Collection 1 - Royal Shayari Mafia

Funny Shayari  Collection 1 - Royal Shayari Mafia

Log Ruth Kar



Log ruthkar rah jaatein hai, Dil ki baat dil mein daba jaate hain, Zamana teji ka hai, Phir kyon nahin aeroplane si udaan bharte hain! Kalam se khat par leekh kar kabootar udaana hua ab poorana, Sonchtein hain yeh to zamana hua deewana!

Wo Chham Chham Kar Ke



Wo chham chham kar ke aayi wo chham chham kar ke chali gayi main sindoor le kar khada tha wo rakhi bandh kar chali gayi.. 

Jawani ke Din



Jawani ke din chamkile hon gaye, husn ke tever nokile ho gaye, faisla lene me itne dhile ho gaye, ki unke haath peele ho gaye…. 

Sher Sunaata Hoon



Sher Sunaata hoon zara ghor se suno, Main Sher Sunaata hoon zara ghor se suno, Ja mein nahi sunata kisi our se suno …

Humne Bhi Kabhi



Humne bhi kabhi pyar kiya tha, thoda nai besumar kiya tha, dil tut kar reh gaya, jab usne kaha,aree Maine to Majak kiya tha…

Jab Bhi



Jab bhi hota hain deedar, dil dhadakta hai baar baar, par yeh sochkar kehte hain, ki kab chukaaoge mera uddhaar… 

Adhi Raat Tha



Adhi raat tha barsaat ka raat tha, Me uska uper Vo mere neche, Adhi raat tha barsaat ka raat tha, Me uska uper Yo mere neche, BURA maat maneye, vo mera motorcycle tha. 

Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here

SMS Shayari 1 - Royal Shayari Mafia

SMS Shayari 1 - Royal Shayari Mafia

May God stay with u this day


May God stay with u this day
&
give u peace of mind.
May God give u a happy heart
&
his love all the time. Good luck


Wish u a very Good Luck


Care for the one who shares with U,
Share with the one who knows U,
Know the one who misses U,
MISS the one who well wishes for U,
Wish u a very Good Luck!


Wish you good luck


Meaning of some colors,
Yellow for a special friend,
white for peace,
orange 4 luck,
black for hate,
red for love and
pink for likeness,
So I choose for u Orange Flower.
Wish u good luck



Want to Publish Your Poem or Shayari or Quotes Or Captions. Click Here